maiñ kyā huuñ kaun huuñ ye bhī ḳhabar nahīñ mujh ko
vo is tarah mirī hastī pe chhā.e jaate haiñ
ḳhayāl hī abhī aayā thā kū-e-jānāñ kā
ye haal hai ki qadam Dagmagā.e jaate haiñ
vo pūchhte haiñ dil-e-mubtalā kā haal aur ham
javāb meñ faqat aañsū bahā.e jaate haiñ
kahāñ hai shauq batā ġhairat-e-kashish terī
vo merī ḳhaak se dāman bachā.e jaate haiñ
miTā rahe haiñ vo kyuuñ dāġh-hā-e-dil 'hādī'
charāġh kyuuñ ye jalā kar bujhā.e jaate haiñ