Imdad Ali Bahr

tare ginte raat kaTti hi nahin aati hai nind

Imdad Ali Bahr

1810-1878
taare ginte raat kaTtī hī nahīñ aatī hai niiñd
dil ko taḌpātā hai hijr āñkhoñ ko tarsātī hai niiñd
ghar meñ āñkhoñ ke qadam rakhne nahīñ paatī hai niiñd
donoñ palkoñ ke tamāñche rāt-bhar khātī hai niiñd
farsh-e-rāhat par mujhe jis vaqt yaad aatā hai yaar
murġh-e-dil aisā phaḌaktā hai ki uḌ jaatī hai niiñd
kaun hai rāhat-rasāñ apnā shab-e-andoh meñ
maut bhī āñkheñ churātī hai jo sharmātī hai niiñd
so.uuñ kyā āñkhoñ kī Dhele ho ga.ī haiñ sañg-e-rāh
aa ke tere ḳhvāb-gah meñ Thokareñ khātī hai niiñd
ain rāhat hai mujhe ḳhidmat-guzārī yaar ke
talve āñkhoñ se jo sahlātā huuñ aa jaatī hai niiñd
din nikal aatā hai uThne ko nahīñ jī chāhtā
saath jab sotā hai vo kyā paañv phailātī hai niiñd
ḳhvāhish-e-dīdār āñkhoñ meñ bharī hai so.uuñ kyā
putliyoñ meñ apnī jā til-bhar nahīñ paatī hai niiñd
murġh-e-bismil āshiq-e-mahjūr dono ek haiñ
us ko phaḌkātī hai marg aur is ko taḌpātī hai niiñd
kaise takiye kaise toshak kaisā hotā hai palañg
maiñ vo ġhāfil huuñ mire ghar aa ke pachhtātī hai niiñd
bāġh-e-jannat ko yūñhī ḳhvāb-e-adam dikhlā.egā
jis tarah kū-e-sanam mujh ko dikhā laatī hai niiñd
jab thake us kī savārī dauḌ kar yuuñ so.e ham
jaise saudāgar ko ghoḌe bech kar aatī hai niiñd
sote sote jab pukār uThtā huuñ apne yaar ko
marqadoñ ke sone vāloñ kī uchaT jaatī hai niiñd
yār-e-gul-andām kā zaanū kahāñ ye sar kahāñ
'bahr' maiñ sotā huuñ mujh ko ḳhvāb dikhlātī hai niiñd
Top Urdushayar.com