Mohammad Wilayatullah

aashna-e-dard tu ai KHugar-e-ishrat nahin

Mohammad Wilayatullah

āshnā-e-dard tū ai ḳhūgar-e-ishrat nahīñ
lazzat-e-ġham ke barābar dūsrī lazzat nahīñ
qadr-o-qīmat dil kī hai jab tak hai is meñ mauj-e-dard
jis meñ rañg-o-bū us gul kī kuchh vaq.at nahīñ
nāla-e-shab-gīr ho pur-josh ho tūfān-e-ashk
abr-e-bārāñ kī bhī is ke sāmne qīmat nahīñ
lutf-e-dard-e-dil se to hai be-ḳhabar ai chāragar
is jahāñ meñ is se baḌh kar dūsrī ne.amat nahīñ
ye jigar baaqī hai ġham kī mehmānī ke liye
dil subuk-ḳhātir hai is meñ ḳhuun kī rañgat nahīñ
dil diyā hai jis ko vaa.iz hai hameñ us kī talāsh
hūr-e-jannat se shanāsā.ī nahīñ ulfat nahīñ
daulat-e-duniyā-e-dūñ sarchashma-e-afkār hai
bādshāhī ko faqīrī se koī nisbat nahīñ
ziist meñ merī kamī thī ik ġham-e-jāñ-kāh kī
mil gayā qismat se vo bhī ab koī hasrat nahīñ
ho gayā afsos 'hāfiz' nā-murād-e-ārzū
DhūñDhtā hai aur kahīñ taskīn kī sūrat nahīñ
Top Urdushayar.com