Mohammad Wilayatullah

hamari aaj-kal himmat faqat aah-o-fughan tak hai

Mohammad Wilayatullah

hamārī āj-kal himmat faqat āh-o-fuġhāñ tak hai
dil-e-betāb kākul josh bas is ke bayāñ tak hai
qadam rakkhā jo maidān-e-amal meñ Thokareñ khā.īñ
hamāre hausloñ kī shaan bas dil se zabāñ tak hai
ilāhī phir na hogā abr-barq-o-ra.ad gulshan meñ
musībat is jagah kyā sirf mere āshiyāñ tak hai
kabhī ik din ḳhudārā sarguzisht-e-āshiqāñ sun lo
ki un kā naam baaqī ab faqat is dāstāñ tak hai
ta.ajjub hai nazar aatā nahīñ tujh ko sitam apnā
tire dar par abhī baaqī mire ḳhuuñ kā nishāñ tak hai
jafā aur zulm kī fariyād le kar ham kahāñ jaa.eñ
rasā.ī ġhair mumkin tere sañg-e-āstāñ tak hai
tirā zulm-o-sitam tujh ko nahīñ mālūm ai zālim
tirī bedād kā ik shor saqf-e-āsmāñ tak hai
chaleñge kaam is duniyā ke mere ba.ad bhī lekin
tirī mahfil kī ye raunaq faqat mujh ḳhasta-jāñ tak hai
ḳhizāñ jā.egī jis din phir vahī josh-e-junūñ hogā
ḳhamoshī bāġh-e-ālam meñ mire ḳhvāb-e-girāñ tak hai
adad se kah do jab chāhe hamārā imtihāñ kar le
hameñ bhī dekhnā hai hausla us kā kahāñ tak hai
hamārī haq-parastī kī misāl aisī hai ai 'hāfiz'
rahegā zikr baaqī ye jahāñ jab tak jahāñ tak hai
Top Urdushayar.com