baat tumhārī aaj tak koī huī hai kab ġhalat
tum jo kaho vo sab bajā ham jo kaheñ vo sab ġhalat
aap kā va.ada kal bhī thā aaj hai va.ada dūsrā
qaul-o-qarār aap kā jab na ġhalat na ab ġhalat
dil meñ thī maujzan ḳhushī shauq fuzūñ thā har ghaḌī
din meñ jo kuchh umiid thī ho ga.ī vaqt-e-shab ġhalat
kyuuñ na gayā payāmbar ġhair ke paas bhuul kar
aisī sunā.ī aa ke baat ho ga.ī sab tarab ġhalat
ġhair kahe vo sab durust aap kaheñ vo sab bajā
baat hamārī haq bhī ho hotī hai be-sabab ġhalat
ġhair kā da.ava-e-vafā kizb kī intihā nahīñ
aa ke sunā.ī dāstāñ ek sire se sab ġhalat
'hāfiz'-e-haq-pasand kī baat kī qadr thī kabhī
harf-e-ġhalat kī tarah kyuuñ ho gayā ḳhud vo ab ġhalat