riñd betāb haiñ ghanghor ghaTā chhā.ī hai
mai-kade guuñj rahe haiñ vo bahār aa.ī hai
bazm-e-aġhyār meñ us ne mujhe daryāft kiyā
ba.ad muddat ke use yaad mirī aa.ī hai
kaT hī jaatī haiñ kisī tarah hamārī rāteñ
ġham salāmat rahe vo monis-e-tanhā.ī hai
qatl karne ko mire aate haiñ vo teġh-ba-dast
maiñ samajhtā huuñ mire haq meñ masīhā.ī hai
un ko ye zid hai na dekheñge kabhī merī taraf
maiñ ne bhī dar se na uThne kī qasam khaa.ī hai
hai ye rindoñ ke ta.āqub meñ koī raaz amiiq
varna auroñ se bhī vaa.iz kī shanāsā.ī hai
pūchhne aa.e haiñ vo haal mirā ai 'hāfiz'
zo.af se salb yahāñ tāqat-e-goyā.ī hai