raaz apnā jo kah diyā tū ne
dil-e-nādāñ ye kyā kiyā tū ne
dard-e-dil kī na kī davā tū ne
na sunī merī iltijā tū ne
saaf hai kis qadar ye dād-e-dast
dil diyā maiñ ne aur liyā tū ne
nazr maiñ ne kiyā jo apnā dil
is ke badle meñ kyā diyā tū ne
ho evaz yā na ho karam hai tirā
dil-e-muztar to le liyā tū ne
raah par muḌ ke kyuuñ mujhe dekhā
kī mohabbat kī ibtidā tū ne
va.ada kar ke jo le liyā vāpas
ai sitamgar ye kyuuñ kiyā tū ne
nahīñ pahlū meñ jab qayām-o-qarār
ai ḳhudā kyuuñ ye dil diyā tū ne
dil lagāyā thā ek se 'hāfiz'
ai ḳhudā kyuuñ kiyā judā tū ne
mujh ko paidā kiyā ḳhudā tū ne
aur sab kuchh atā kiyā tū ne
terī rahmat kā kuchh hisāb nahīñ
dī hai har dard kī davā tū ne
kar ke tauba sambhal gayā aasī
phir bhī us ko bachā liyā tū ne
dī haiñ duniyā meñ ne.amateñ kyā kyā
apne bandoñ ko ai ḳhudā tū ne
pahle batlā diyā gunāh hai kyā
afv kī us kī phir ḳhatā tū ne
duur pheñkā na ba.ad-e-murdan bhī
paas apne bulā liyā tū ne
rahm terā ġhazab pe ġhālib hai
kyuuñ banā.ī sazā jazā tū ne
naaz us ne uThā.e ai 'hāfiz'
rah ke duniyā meñ kyā kiyā tū ne