Imdad Ali Bahr

shikwa na raqibon se na jaanan se gila hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
shikva na raqīboñ se na jānāñ se gilā hai
mujh ko faqat apnī dil-e-nādāñ se gilā hai
yuuñ ḳhāk-basar mujh ko na karnā thā jahāñ meñ
ai yaar tirī zulf-e-pareshāñ se gilā hai
bīmār-e-mohabbat kī ayādat ko na aa.e
kyā hijr davā thā mujhe darmāñ se gilā hai
aañsū jo na bahte to maiñ āñkhoñ se na girtā
mujh ko bahut is dīda-e-giryāñ se gilā hai
dam-bhar nahīñ lagtī hai palak se palak apnī
ginvātī hai taare shab-e-hijrāñ se gilā hai
aa.e bhī to khaa.e na gilaurī na malā itr
rokī mirī dāvat mujhe mehmāñ se gilā hai
baḳhiye kī havas rah ga.ī afgār diloñ ko
har zaḳhm ko us sozan-e-mizhgāñ se gilā hai
gul-bū na kabhī laa.e shikāyat hai sabā hai
bhejā na koī phuul gulistāñ se gilā hai
naġhme na sunā.e kabhī ahbāb-e-qafas ko
gulzār ke murġhān-e-ḳhush-alhāñ se gilā hai
rahne ko Thikānā nahīñ miltā kahīñ us ko
majnūñ ko tire gosha-e-zindāñ se gilā hai
soyā na kabhī chāñdnī meñ saath hamāre
ham ko yahī is māh-e-daraḳhshāñ se gilā hai
rokā mujhe aġhyār ko jaane diyā ghar meñ
shikva sag-e-jānāñ se hai darbāñ se gila hai
is se huī furqat na huī in meñ judā.ī
ai 'bahr' mujhe apne tan-o-jāñ se gilā hai
Top Urdushayar.com