Dartā huuñ arz-e-hāl se dhokā na ho kahīñ
vo ruuTh jaa.eñ aur bhī aisā na ho kahīñ
kab tak talāsh dil kī karūñ aur kahāñ kahāñ
zulfoñ meñ dekh lījiye uljhā na ho kahīñ
qāsid mire makāñ kī taraf se gayā jo aaj
hotā hai shak mujhe ki bulāyā na ho kahīñ
ho jaa.e jal ke ḳhaak na ḳhud ye mirā vajūd
Dartā huuñ aah kā asar ulTā na ho kahīñ
dil le ke apne paas bulā.eñ vo kis liye
ye bhī to sochte haiñ taqāzā na ho kahīñ
ai shaiḳh terī baat kā kyā e'tibār ho
parde meñ is abā ke bhī duniyā na ho kahīñ
muddat huī ki dil ko qarār-o-sukūñ nahīñ
phirtā hai jaise is kā Thikānā na ho kahīñ
un kā marīz-e-ġham hai ka.ī din se jāñ-ba-lab
vo dil meñ sochte haiñ bahāna na ho kahīñ
kū-e-butāñ meñ terā guzar hai jo baar baar
ai dil tū aisī bātoñ se rusvā na ho kahīñ
'hāfiz' kī chashm-e-tar pe nazar chāhiye zarūr
ye tār-e-ashk dekhiye dariyā na ho kahīñ