Mohammad Wilayatullah

dil mein mere har ghaDi dariya-e-gham labrez hai

Mohammad Wilayatullah

dil meñ mere har ghaḌī dariyā-e-ġham labrez hai
baat jo muñh se nikaltī hai vo dard-āmez hai
zabt kartā huuñ to baḌhtā hai mirā soz-e-darūñ
ashk se bhī apne Dartā huuñ ki tūfāñ-ḳhez hai
pahle in āñkhoñ se sail-e-ashk hotā thā ravāñ
ab vufūr-e-ġham se merī chashm-e-tar ḳhūñ-rez hai
aarzū tak ho ga.ī dil ke liye bār-e-garāñ
nā-tavānī ke sabab armāñ bhī hasrat-ḳhez hai
hai abas sāmān-e-farhat ġham-zada dil ke liye
mere lab ko ḳhud tabassum se baḌā parhez hai
din ga.e tafrīh ke jab se huā dil ġham-kada
kyā ġharaz ham ko agar duniyā tarab-añgez hai
is zamīñ par kar rahā hai tai masāfat har-nafas
vo mubārak hai qadam jis kā safar meñ tez hai
qalb-e-'hāfiz' tā-dam-e-āḳhir na pā.egā sukūñ
jumla-sāmān-e-tarab-angez vahshat-ḳhez hai
Top Urdushayar.com