makāñ merā azal se DhūñDhtī phirtī thī vīrānī
nihāyat shauq se kī dil ne ranj-o-ġham kī mehmānī
qarār us ko nahīñ miltā siñghār us kā nahīñ bantā
mire dil se tire gesū ne sīkhī hai pareshānī
ḳhatā-e-fāsh hai ham ne jafā ko kyuuñ jafā samjhā
qayāmat tak na jā.egī hamārī ye pashemānī
batā.eñ kyā tumhārī ik nahīñ se ham pe kyā guzrī
umīdeñ thiiñ hazāroñ haa.e jin par phir gayā paanī
adū ke qaul kī tum ne hamesha pāsdārī kī
hamārī baat lekin aaj tak ik bhī nahīñ maanī
nazar aatā hai āsāñ sab jise dushvār kahte haiñ
tarīq-e-ishq meñ har ek dushvārī hai āsānī
maza detā nahīñ 'hāfiz' ruḳh-o-gesū kā nazzāra
misāl-e-ā.īna jab tak na ho āñkhoñ meñ hairānī