Mohammad Wilayatullah

mere sine se ranj-o-gham ki tughyani nahin jati

Mohammad Wilayatullah

mire siine se ranj-o-ġham kī tuġhyānī nahīñ jaatī
ilāhī kyā karūñ dil kī pareshānī nahīñ jaatī
mujhe ġhairoñ ke jhūTe dāva-e-ulfat se kyā matlab
ġhazab ye hai mirī haq baat bhī maanī nahīñ jaatī
kiyā us chashm-e-ishq-afroz ne barbād duniyā meñ
magar phir bhī nazar kī fitna-sāmānī nahīñ jaatī
tahayyur hai mohabbat ke natā.ej tū ne dekhe haiñ
magar afsos ai dil terī nādānī nahīñ jaatī
paḌe haiñ pech sumbul meñ yahāñ ā.īna hairāñ hai
ta.ajjub hai ki gesū kī pareshānī nahīñ jaatī
jahāñ meñ har taraf sāmān-e-ishrat bhī muhayyā hai
sabab kyā hai mirī ġham kī farāvānī nahīñ jaatī
dilāyā yaad us paimāñ-shikan ko va.ada kyuuñ maiñ ne
pareshāñ huuñ kisī sūrat pashemānī nahīñ jaatī
hazāroñ nāmvar aa kar base shahr-e-ḳhamoshāñ meñ
magar is sar-zamīñ kī phir bhī vīrānī nahīñ jaatī
pa.e daryāft asrār-e-haqīqat sab haiñ sargardāñ
falak ke paar lekin aql-e-insānī nahīñ jaatī
natīja nek hai īsār kā duniyā-o-uqbā meñ
haqīqat meñ kabhī be-kār qurbānī nahīñ jaatī
asar kyā ḳhaak ho merī fuġhāñ kā us pe ai 'hāfiz'
mirī āvāz tak us ghar meñ pahchānī nahīñ jaatī
Top Urdushayar.com