Meeraji

hanso to sath hansnegi duniya baiTh akele rona hoga

Meeraji

Lahore, Punjab, Pakistan

1912-1949
hañso to saath hañsnegī duniyā baiTh akele ronā hogā
chupke chupke bahā kar aañsū dil ke dukh ko dhonā hogā
bairan riit baḌī duniyā kī aañkh se jo bhī Tapkā motī
palkoñ hī se uThānā hogā palkoñ hī se pironā hogā
khone aur paane kā jīvan naam rakhā hai har koī jaane
us kā bhed koī na dekhā kyā paanā kyā khonā hogā
bin chāhe bin bole pal meñ TuuT phuuT kar phir ban jaa.e
bālak soch rahā hai ab bhī aisā koī khilaunā hogā
pyāroñ se mil jaa.eñ pyāre anhonī kab honī hogī
kāñTe phuul baneñge kaise kab sukh sej bichhaunā hogā
bahte bahte kaam na aa.e laakh bhañvar tūfānī-sāgar
ab mañjdhār meñ apne hāthoñ jīvan naav Dubonā hogā
jo bhī dil ne bhuul meñ chāhā bhuul meñ jaanā ho ke rahegā
soch soch kar huā na kuchh bhī aao ab to khonā hogā
kyuuñ jīte-jī himmat hāreñ kyuuñ fariyādeñ kyuuñ ye pukāreñ
hote hote ho jā.egā āḳhir jo bhī honā hogā
'mīrā-jī' kyuuñ soch satā.e palak palak Dorī lahrā.e
qismat jo bhī rañg dikhā.e apne dil meñ samonā hogā
Top Urdushayar.com