gunāhoñ se nashv-o-numā pā gayā dil
dar-e-puḳhta-kārī pe pahuñchā gayā dil
agar zindagī muḳhtasar thī to phir kyā
isī meñ bahut aish kartā gayā dil
ye nannhī sī vus.at ye nādān hastī
na.e se nayā bhed kahtā gayā dil
na thā koī ma.abūd par rafta rafta
ḳhud apnā hī ma.abūd bantā gayā dil
nahīñ girya o ḳhanda meñ farq koī
jo rotā gayā dil to hañstā gayā dil
bajā.e dil ik talḳh aañsū rahegā
agar un kī mahfil meñ aayā gayā dil
pareshāñ rahā aap to fikr kyā hai
milā jis se bhī us ko bahlā gayā dil
ka.ī raaz pinhāñ haiñ lekin khuleñge
agar hashr ke roz pakḌā gayā dil
bahut ham bhī chālāk bante the lekin
hameñ bātoñ bātoñ meñ bahkā gayā dil
kahī baat jab kaam kī 'mīrā-jī' ne
vahīñ baat ko jhaT se palTā gayā dil