Meeraji

gham ke bharose kya kuchh chhoDa kya ab tum se bayan karen

Meeraji

Lahore, Punjab, Pakistan

1912-1949
ġham ke bharose kyā kuchh chhoḌā kyā ab tum se bayān kareñ
ġham bhī raas na aayā dil ko aur hī kuchh sāmān kareñ
karne aur kahne kī bāteñ kis ne kahīñ aur kis ne kiiñ
karte kahte dekheñ kisī ko ham bhī koī paimān kareñ
bhalī burī jaisī bhī guzrī un ke sahāre guzrī hai
hazrat-e-dil jab haath baḌhā.eñ har mushkil āsān kareñ
ek Thikānā aage aage pīchhe ek musāfir hai
chalte chalte saañs jo TuuTe manzil kā elaan kareñ
'mīr' mile the 'mīrā-jī' se bātoñ se ham jaan ga.e
faiz kā chashma jaarī hai hifz un kā bhī dīvān kareñ
Top Urdushayar.com