Imdad Ali Bahr

KHurshid-ruKHon ka samna hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878

ḳhurshīd-ruḳhoñ sāmnā hai

shabnam-sifat aabrū havā hai

dil zaḳhmī-e-ishq hai sazā hai

bhar duuñ jo namak to phir mazā hai

ab to dil us par aa gayā hai

achchhā hai burā hai bhalā hai

bainnul-a.ād meñ aadmī hai

duniyā ek beach sirā hai

aisī hai malāhat us ke muñh par

ruḳhsār sabza lo nayā hai

iksīr hai dil ḳhāksārī

kushta ho jo nafas-e-kīmiyā hai

mun.im na kar e.atibār-e-daulat

iqbāl qalb lā-baqā hai

vo dil na rahā naaz uThā.ūñ

maiñ bhī huuñ ḳhafā jo vo ḳhafā hai

kam hai jo sitam ho tujh par ai dil

be-rahm se aur mil sazā hai

dil tum ko to phir kisī din

pyaar koī tum se bhī sivā hai

achchhī nahīñ ye ḳhalish raqībo

kāñTe bo kar koī phalā hai

ham dekheñ maze raqīb luuTe

yuuñ us se bhī to kyā mazā hai

dam siine se kyuuñ nahīñ nikaltā

kyā jism-e-nazār ḳhār-e-pā hai

daulat se kabhī na ser hoñge

shāhoñ ko faqīr duā hai

chhuptā nahīñ koī apne dil meñ

āñkhoñ meñ vahī khaTak rahā hai

is rañj meñ bhī nibāh deñge

apnā abhī itnā hausla hai

ai 'bahr' ġhazal kahī jo tum ne

ye tarz-e-kalām 'mīr' hai

Top Urdushayar.com