Dhab dekhe to ham ne jaanā dil meñ dhun bhī samā.ī hai
'mīrā-jī' daanā to nahīñ hai āshiq hai saudā.ī hai
sub.h-savere kaun sī sūrat phulvārī meñ aa.ī hai
Daalī Daalī jhuum uThī hai kalī kalī lahrā.ī hai
jānī-pahchānī sūrat ko ab to āñkheñ tarseñgī
na.e shahr meñ jīvan-devī nayā ruup bhar laa.ī hai
ek khilaunā TuuT gayā to aur ka.ī mil jā.eñge
bālak ye anhonī tujh ko kis bairī ne sujhā.ī hai
dhyān kī dhun hai amar giit pahchān liyā to bolegā
jis ne raah se bhaTkāyā thā vahī raah par laa.ī hai
baiThe haiñ phulvārī meñ dekheñ kab kaliyāñ khiltī haiñ
bhañvar bhaav to nahīñ hai kis ne itnī raah dikhā.ī hai
jab dil ghabrā jaatā hai to aap hī aap bahaltā hai
prem kī riit ise jaano par honī kī chaturā.ī hai
ummīdeñ armān sabhī jul de jā.eñge jānte the
jaan jaan ke dhoke khaa.e jaan ke baat baḌhā.ī hai
apnā rañg bhalā lagtā hai kaliyāñ chaTkīñ phuul banīñ
phuul phuul ye jhuum ke bolā kaliyo tum ko badhā.ī hai
ābshār ke rañg to dekhe lagan manDal kyuuñ yaad nahīñ
kis kā byaah rachā hai dekho Dholak hai shahnā.ī hai
aise Dole man kā bajrā jaise nain-bīch ho kajrā
dil ke andar dhuum machī hai jag meñ udāsī chhā.ī hai
lahroñ se lahreñ miltī haiñ sāgar umDā aatā hai
mañjdhār meñ basne vaale ne sāhil par jot jagā.ī hai
āḳhirī baat sunā.e koī āḳhirī baat sunīñ kyuuñ ham ne
is duniyā meñ sab se pahle āḳhirī baat sunā.ī hai