Meeraji

dida-e-ashk-bar hai apna

Meeraji

Lahore, Punjab, Pakistan

1912-1949
dīda-e-ashk-bār hai apnā
aur dil be-qarār hai apnā
rashk-e-sahrā hai ghar kī vīrānī
yahī rañg-e-bahār hai apnā
chashm-e-giryāñ se chāk-e-dāmāñ se
haal sab āshkār hai apnā
hā.e-hū meñ har ek khoyā hai
kaun yaañ ġham-gusār hai apnā
sirf vo ek sab ke haiñ muḳhtār
un pe kyā iḳhtiyār hai apnā
bazm se un kī jab se niklā hai
dil ġharīb-ud-dayār hai apnā
un ko apnā banā ke chhoḌeñge
baḳht agar sāzgār hai apnā
paas to kyā hai apne phir bhī magar
us pe sab kuchh nisār hai apnā
ham ko hastī raqīb kī manzūr
phuul ke saath ḳhaar hai apnā
hai yahī rasm-e-mai-kada shāyad
nashsha un kā ḳhumār hai apnā
jiit ke ḳhvāb dekhte jaao
ye dil-e-bad-qimār hai apnā
kyā ġhalat sochte haiñ 'mīrā-jī'
sher kahnā shi.ār hai apnā
Top Urdushayar.com