Meeraji

jaise hoti aai hai waise basar ho jaegi

Meeraji

Lahore, Punjab, Pakistan

1912-1949
jaise hotī aa.ī hai vaise basar ho jā.egī
zindagī ab muḳhtasar se muḳhtasar ho jā.egī
gesu-e-aks-e-shab-e-furqat pareshāñ ab bhī hai
ham bhī to dekheñ ki yuuñ kyūñkar sahar ho jā.egī
intizār-e-manzil-e-mauhūm kā hāsil ye hai
ek din ham par ināyat kī nazar ho jā.egī
sochtā rahtā hai dil ye sāhil-e-ummīd par
justujū ā.īna-e-madd-o-jazar ho jā.egī
dard ke mushtāq gustāḳhī to hai lekin muaaf
ab duā andesha ye hai kārgar ho jā.egī
saañs ke āġhosh meñ har saañs kā naġhma ye hai
ek din ummīd hai un ko ḳhabar ho jā.egī
Top Urdushayar.com