nagrī nagrī phirā musāfir ghar kā rastā bhuul gayā
kyā hai terā kyā hai merā apnā parāyā bhuul gayā
kyā bhūlā kaise bhūlā kyuuñ pūchhte ho bas yuuñ samjho
kāran dosh nahīñ hai koī bhūlā bhālā bhuul gayā
kaise din the kaisī rāteñ kaisī bāteñ ghāteñ thiiñ
man bālak hai pahle pyaar kā sundar sapnā bhuul gayā
añdhiyāre se ek kiran ne jhāñk ke dekhā sharmā.ī
dhundlī chhab to yaad rahī kaisā thā chehra bhuul gayā
yaad ke pher meñ aa kar dil par aisī kaarī choT lagī
dukh meñ sukh hai sukh meñ dukh hai bhed ye nyārā bhuul gayā
ek nazar kī ek hī pal kī baat hai Dorī sāñsoñ kī
ek nazar kā nuur miTā jab ik pal biitā bhuul gayā
sūjh-būjh kī baat nahīñ hai man-maujī hai mastāna
lahr lahr se jā sar paTkā sāgar gahrā bhuul gayā