Imdad Ali Bahr

aabla Khaar-e-sar-e-mizhgan ne phoDa sanp ka

Imdad Ali Bahr

1810-1878
aabla ḳhār-e-sar-e-mizhgāñ ne phoḌā saañp kā
selī-e-zulf-e-rasā ne kallā toḌā saañp
panja-e-dandāñ tirī kañghī ne moḌā saañp kā
kar ke gesū-e-kalā.ī haath toḌā saañp kā
kūdkī sī mere sar par ishq-e-gesū hai savār
chob kī badlī banātā thā maiñ ghoḌā saañp kā
bār-e-firaunī pe terī zulf agar bāñdhe kamar
azhdar-e-mūsā ke tausan par ho kuuḌā saañp kā
maiñ huuñ vo ranjūr-e-gesū aks agar merā paḌe
mohr-e-har-e-ustuḳhvāñ ban jaa.e phoḌā saañp kā
jab siyah botal se mai-rezī huī daur-e-firāq
maiñ ye samjhā zahr saaqī ne nichoḌā saañp kā
hai qadam us kā havā par paañv us kā ḳhaak par
zulf ke mushkī ko kab paatā hai ghoḌā saañp kā
āshiq-e-zulf-e-siyah ko is tarah ta.azīr do
saañp kī rassī banāo aur koḌā saañp kā
zulf-e-kaj-raftār kī kab chaal chal saktā hai vo
aisī Thokar khaa.e sar ban jaa.e roḌā saañp kā
ek din ho jā.egā raushan siyah-kārī kā haal
donoñ baġhloñ meñ jarīde haiñ ki joḌā saañp kā
jāntā huuñ maiñ tire rās-o-zamb ko ai falak
mere Dasne ke liye paalā hai joḌā saañp kā
kyā ta.ajjub husn-e-jānāñ se agar pūchhe gazand
ḳhaal meñ bichchhū kā joḌā zulfeñ joḌā saañp kā
saañp ke kaaTe kī lahr aa.e jo vasf-e-zulf meñ
'bahr' ne phir to koī mazmūñ na chhoḌā saañp kā
Top Urdushayar.com