Imdad Ali Bahr

kiya salam jo saqi se humne jam liya

Imdad Ali Bahr

1810-1878
kiyā salām jo saaqī se ham ne jaam liyā
paḌhe darūd jo pīr-e-muġhāñ kā naam liyā
chah-e-zaqan meñ girā chāhtā thā dil merā
darāz umr ho zulf-e-rasā ne thaam liyā
kisī kā zor zabardast par nahīñ chalnā
falak ne zulm kiyā kis ne intiqām liyā
nasīb-var thī zuleḳhā jo paayā yūsuf ko
kanīz ho ga.ī is shakl kā ġhulām liyā
bharā laboñ ne barābar dam-e-masīhā.ī
jab us ke abrūoñ ne hukm-e-qatl-e-ām liyā
mizāj pūchhā kisī kā to un kā muñh dekhā
kasak se haath meñ aa.e agar salām liyā
lagāyā thā kahīñ dil ham ne vo mazā chakkhā
zabāñ ne phir na kabhī āshiqī kā naam liyā
bharā hai aañkh meñ jaadū khulā ishāre se
zabān kā mizha-e-be-zabāñ se kaam liyā
bahut kamar ke lachakne kā hai ḳhayāl un ko
jo do qadam bhī chale pā.iñchoñ ko thaam liyā
chaḌhā ḳhumār jo sar par utar ga.ī izzat
amāma rakh ke giro sāġhar-e-mudām liyā
uThā ke daaġh liyā haq-e-sa.ī kā paisā
na murtashī kī tarah ham ne zar harām liyā
havā ko jaan dī maiñ ne zamīn ko miTTī
adā kiyā dam-e-ruḳhsat jo qarz daam liyā
muaaf kī hai ḳhudā ne za.iif par taklīf
sitam kiyā agar ab dast-o-pā se kaam liyā
qasam na khā.ūñgā tīsoñ kalām kī ai 'bahr'
kisī kā ḳhvāb meñ bosa to lā-kalām liyā
Top Urdushayar.com