Anjum Khaleeq

jab tak fasil-e-jism ka dar khul na jaega

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
jab tak fasīl-e-jism kā dar khul na jā.egā
is dil kī yurishoñ kā tasalsul na jā.egā
ḳhemoñ se tā-furāt jo dariyā-e-ḳhūñ hai ye
us par se maslahat kā koī pul na jā.egā
us ko gumāñ nahīñ thā ki ahd-e-ḳhizāñ meñ bhī
ye zauq-e-naġhma-rezi-e-bulbul na jā.egā
ye abr-e-āgahī jo barastā rahā yūñhī
miTTī kā ye vajūd mirā ghul na jā.egā
girtā rahegā yūñhī balāoñ kā ābshār
jab tak ġhubār-e-qalb-o-nazar dhul na jā.egā
vo shaḳhs to ḳhudā.ī ke daave pe tul gayā
is had pe ham samajhte the bilkul na jā.egā
bas ai nigār-e-zīst yaqīñ aa gayā hameñ
ye terī be-ruḳhī ye ta.ammul na jā.egā
'anjum' nigār-e-zīst ko phir chāhiye vahī
ik sar jo ḳhvāhishoñ ke evaz tul na jā.egā
Top Urdushayar.com