biite hue lamhāt ko pahchān meñ rakhnā
murjhā.e hue phuul bhī gul-dān meñ rakhnā
kyā jāneñ safar ḳhair se guzre ki na guzre
tum ghar kā pata bhī mire sāmān meñ rakhnā
kyā din the mujhe shauq se mehmān bulānā
aur ḳhud ko magar ḳhidmat-e-mehmān meñ rakhnā
kyā vaqt thā kyā vaqt hai is soch se hāsil
chhoḌo jo huā kyā use mīzān meñ rakhnā
insān kī niyyat kā bharosa nahīñ koī
milte ho to is baat ko imkān meñ rakhnā
pursish hai bahut saḳht vahāñ fard-e-amal kī
kuchh na.at ke ash.ār bhī dīvān meñ rakhnā
muḳhlis ho raho Tokā hai kis ne tumheñ 'anjum'
raftār-e-zamāna bhī magar dhyān meñ rakhnā