Anjum Khaleeq

KHak ka rizq yahan har kas-o-na-kas nikla

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
ḳhaak kā rizq yahāñ har kas-o-nā-kas niklā
ye badan sīñchne vaalā baḌā bebas niklā
vo jo kartā thā sadā ḳhirqa-e-darvesh kī baat
vo bhī darbār meñ vārafta-e-atlas niklā
zarfishāñ hai mirī zarḳhez zamīnoñ kā badan
zarra zarra mire punjab kā pāras niklā
merī hairat ko bhī tārīḳh meñ mahfūz karo
mere ahbāb meñ har shaḳhs buroTas niklā
titliyāñ pyaar kī thak-hār ke lauT aa.ī haiñ
ġhuncha-e-chashm hī us shaḳhs kā be-ras niklā
ye qalam mujrim-e-tausīf-e-ġhazālāñ 'anjum'
vaqt paḌne pe to ye fiil kā āñkas niklā
Top Urdushayar.com