kār-e-hunar sañvārne vāloñ meñ aa.egā
jab bhī hamārā naam havāloñ meñ aa.egā
Tīloñ ko saath le ke jo uḌtī rahī havā
sahrā kā rañg barf ke gāloñ meñ aa.egā
jab āftāb-e-umr kī Dhalne lagegī dhuup
tab raushnī kā fan mire bāloñ meñ aa.egā
kaisā firāq kaisī judā.ī kahāñ kā hijr
vo jā.egā agar to ḳhayāloñ meñ aa.egā
insāñ se pyaar husn-parastī vatan se ishq
ham ne kiyā hai yuuñ ki misāloñ meñ aa.egā
'anjum'-ḳhalīq ik na.e anjum ko dekhnā
jis din vo āgahī ke ujāloñ meñ aa.egā