Anjum Khaleeq

kuchh uzr pas-e-wada-KHilafi nahin rakhte

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
kuchh uzr pas-e-va.ada-ḳhilāfī nahīñ rakhte
ho kaise masīhā dam-e-shāfī nahīñ rakhte
aise to na the zaḳhm ki jo bhar hī na paate
ahbāb magar zarf-e-talāfī nahīñ rakhte
is chain se jiine meñ koī bhed nahīñ hai
bas ye ki tamannā.eñ izāfī nahīñ rakhte
is daur meñ insāf panap hī nahīñ saktā
iḳhlās-e-qalam jis meñ sahāfī nahīñ rakhte
haiñ aur bhī duniyā meñ suḳhnavar bahut achchhe
ham jaisā magar zauq-e-qavāfī nahīñ rakhte
ye mo.ajiza mohtāj hai pindār-e-vafā kā
sab teshe dam-e-koh-shigāfī nahīñ rakhte
har baat meñ kam-māya nazar aate haiñ 'anjum'
rāhat to kujā dard bhī kaafī nahīñ rakhte
Top Urdushayar.com