kitnā DhūñDā use jab ek ġhazal aur kahī
jab milā hī nahīñ tab ek ġhazal aur kahī
ek ummīd mulāqāt meñ likkhī sar-e-shām
aur phir āḳhir-e-shab ek ġhazal aur kahī
ik ġhazal likkhī to ġham koī purānā jaagā
phir usī ġham ke sabab ek ġhazal aur kahī
us ġhazal meñ kisī be-dard kā naam aatā thā
so pa.e bazm-e-tarab ek ġhazal aur kahī
jānte būjhte ik misra-e-tar kī qīmat
dil-e-bedād-talab ek ġhazal aur kahī
dil kī dhaḌkan ko hī pairāya-e-iz.hār kiyā
sil chuke jab mire lab ek ġhazal aur kahī
daf.atan ḳhud se mulāqāt kā ehsās huā
muddatoñ ba.ad jo ab ek ġhazal aur kahī
vahshat-e-hijr bhī tanhā.ī bhī maiñ bhī 'anjum'
jab ikaTThe hue sab ek ġhazal aur kahī