Anjum Khaleeq

kahan tak aur is duniya se Darte hi chale jaana

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
kahāñ tak aur is duniyā se Darte hī chale jaanā
bas ab ham se nahīñ hotā mukarte hī chale jaanā
maiñ ab to shahr meñ is baat se pahchānā jaatā huuñ
tumhārā zikr karnā aur karte hī chale jaanā
yahāñ aañsū hī aañsū haiñ kahāñ tak ashk poñchhoge
tum us bastī se guzro to guzarte hī chale jaanā
mirī ḳhātir se ye ik zaḳhm jo miTTī ne khāyā hai
zarā kuchh aur Thahro is ke bharte hī chale jaanā
vafā-nā-āshnā logoñ se milnā bhī aziyyat hai
hue aise to is dil se utarte hī chale jaanā
Top Urdushayar.com