ba-faiz-e-āgahī ye kyā azaab dekh liyā
ki ḳhud hī apne kiye kā hisāb dekh liyā
ye nasl nasl masāfat bahal rahī hai yūñhī
sarāb jāgte sote meñ ḳhvāb dekh liyā
diloñ kī tīrgī dhone ko log uThe haiñ jab
chhatoñ par utrā huā āftāb dekh liyā
saroñ se taaj baḌe jism se abā.eñ baḌī
zamāne ham ne tirā intiḳhāb dekh liyā
vo fāḳhta jise laanā thā amn kā paiġhām
uḌī nahīñ thī ki us ne uqaab dekh liyā
kabhī vo khul ke kabhī sarsarī milā ham se
kabhī hilāl kabhī māhtāb dekh liyā
kitāb paḌhne kī fursat yahāñ kise 'anjum'
bahut huā to faqat intisāb dekh liyā