yahāñ jo zaḳhm milte haiñ vo silte haiñ yahīñ mere
tumhāre shahr ke sab log to dushman nahīñ mere
talāsh-e-ahd-e-rafta meñ ajā.ib-ghar bhī dekhe haiñ
vahāñ bhī sab havāle haiñ kahīñ tere kahīñ mere
zarā sī maiñ ne tarjīhāt kī tartīb badlī thī
ki aapas meñ ulajh kar rah ga.e duniyā o diiñ mere
falak had hai ki sarhad hai zamīñ ma.adan hai yā madfan
mujhe bechain hī rakhte haiñ ye vahm o yaqīñ mere
maiñ tere zulm kaise hashr tak sahtā chalā jā.ūñ
bas ab to faisle hoñge yahīñ tere yahīñ mere
achānak kis tarah āḳhir ye duniyā chhoḌ saktā huuñ
ḳhazāne jā-ba-jā madfūn haiñ zer-e-zamīñ mere
to jab mere kiye par hai mirā anjām phir anjām
ye maazī haal mustaqbil to haiñ zer-e-nagīñ mere