badal chuke haiñ sab aglī rivāyatoñ ke nisāb
jo the savāb-o-gunah ho ga.e gunāh-o-savāb
numū ke baab meñ vo bebasī kā aalam hai
bahār maañg rahī hai ḳhizāñ rutoñ se gulāb
badal ke jaam bhī ham to rahe ḳhasāre meñ
hamāre paas lahū thā tumhāre paas sharāb
mire kahe ko amānat samajhnā mauj-e-havā
maiñ aane vaale zamānoñ se kar rahā huuñ ḳhitāb
so merī pyaas kā donoñ taraf ilaaj nahīñ
udhar hai ek samundar idhar hai ek sarāb
ḳhud āgahī kā salīqa sikhā gayā 'anjum'
mire ḳhilāf mire dostoñ kā istisvāb