sadāqatoñ ko ye zid hai zabāñ talāsh karūñ
jo shai kahīñ na mile maiñ kahāñ talāsh karūñ
mirī havas ke muqābil ye shahr chhoTe haiñ
ḳhalā meñ jā ke na.ī bastiyāñ talāsh karūñ
aziyyatoñ kī bhī apnī hī ek lazzat hai
maiñ shahr shahr phirūñ nekiyāñ talāsh karūñ
makāñ-fareb ḳhushāmad ma.āsh samjhaute
barā.e kashtī-e-jāñ bādbāñ talāsh karūñ
to kab talak yūñhī sūraj tale rahegī dhuup
tire liye bhī koī sā.ebāñ talāsh karūñ
guhar-qnasīb sadaf kā to zikr kyā 'anjum'
maiñ sāhiloñ ke liye sīpiyāñ talāsh karūñ