dastār-e-hunar baḳhshish-e-darbār nahīñ hai
sad shukr ki shānoñ pe ye sar baar nahīñ hai
ab to ye makāñ qatl-gaheñ banñe lage haiñ
achchhā hai vo jis kā koī ghar-bār nahīñ hai
tahrīs-o-sazā se nahīñ badleñge ye bayāñ ham
ik baar nahīñ jab hai to har baar nahīñ hai
har ek pe khul jaa.e bilā farq marātib
aisā ho to dahlīz pe darbār nahīñ hai
aa jaa.e tavāzun meñ ye māhaul kī mīzān
insāf ke palḌe meñ magar baar nahīñ hai
zulmat se nikal aa.eñ chamakte hue raste
par mash.al-e-ehsās sharar-bār nahīñ hai
haath aa.egā kyā sāhil-e-lab se hameñ 'anjum'
jab dil kā samundar hī guhar-bār nahīñ hai