Anjum Khaleeq

ab shahr mein aqdar-kushi ek hunar hai

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
ab shahr meñ aqdār-kushī ek hunar hai
fan jurm hai me.ār-kushī ek hunar hai
dushman se to kyā haq-e-adāvat kā gilā jab
yāroñ ke liye yār-kushī ek hunar hai
kyā kyā hai nadāmat unheñ ab apnī ravish par
kahte the jo kirdār-kushī ek hunar hai
jis daur meñ ho lafz kī hurmat kī tijārat
us daur meñ afkār-kushī ek hunar hai
ḳhātir se jo karnā paḌī kaj-fahm kī tā.īd
lagtā thā ki inkār-kushī ek hunar hai
hairat hai ki vo fan ke parastār haiñ 'anjum'
jin ke liye fankār-kushī ek hunar hai
Top Urdushayar.com