har sher se mere tirā paikar nikal aa.e
manzar ko haTā kar pas-e-manzar nikal aa.e
ye kaun nikal aayā yahāñ sair-e-chaman ko
shāḳhoñ se mahakte hue zevar nikal aa.e
is baar bulāve meñ kisī māh-jabīñ ke
vo zor-talab thā ki mire par nikal aa.e
ye vasl sikandar ke muqaddar meñ nahīñ thā
ham kaise muqaddar ke sikandar nikal aa.e
shab aa.ī to zulmat kī mazammat meñ sitāre
dīvār-e-falak toḌ ke bāhar nikal aa.e
us baat kā āñdhī ko gumāñ bhī nahīñ hogā
lo ek thī fānūs bahattar nikal aa.e
ilhām kā mausam utar aatā hai zamīñ par
bastī meñ agar ek suḳhnavar nikal aa.e
un sañg-zanoñ meñ koī apnā bhī thā shāyad
jo Dher se ye qīmtī patthar nikal aa.e
pindār-e-hunar zauq-e-nazar shiddat-e-iḳhlās
duniyā ke muqābil mire lashkar nikal aa.e
kuchh soch ke ummīd-e-vafā bāñdhte 'anjum'
chashme kī jagah kaise samundar nikal aa.e