Anjum Khaleeq

palkon tak aa ke ashk ka sailab rah gaya

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
palkoñ tak aa ke ashk kā sailāb rah gayā
dariyā darūn-e-halqa-e-girdāb rah gayā
ye kaun hai ki jis ko ubhāre hue hai mauj
vo shaḳhs kaun thā jo tah-e-āb rah gayā
naḳhl-e-anā meñ zor-e-numū kis ġhazab kā thā
ye peḌ to ḳhizāñ meñ bhī shādāb rah gayā
kyā shahr par khulī hī nahīñ āyat-e-ḳhulūs
kyā ek maiñ hī vāqif-e-ādāb rah gayā
kuchh zikr-e-yār jis meñ thā kuchh zikr-e-vasl-e-yār
tadvīn-e-zindagī meñ vahī baab rah gayā
jo shai yahāñ kī thī vo yahīñ chhoḌ dī magar
āñkhoñ ke biich ek tirā ḳhvāb rah gayā
dekhā jo phir se jānib-e-dariyā ravāñ mujhe
bal khā ke apne aap meñ girdāb rah gayā
'anjum' tirī zamīn abhī kitnī duur hai
kosoñ-pare to qariya-e-mahtāb rah gayā
Top Urdushayar.com