Anjum Khaleeq

ye kaisi baat mera mehrban bhul gaya

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
ye kaisī baat mirā mehrbān bhuul gayā
kumak meñ tiir to bheje kamān bhuul gayā
junūñ ne mujh se ta.āruf ke marhale meñ kahā
maiñ vo hunar huuñ jise ye jahān bhuul gayā
kuchh is tapāk se rāheñ lipaT paḌīñ mujh se
ki maiñ to samt-e-safar kā nishān bhuul gayā
ḳhumār-e-qurbat-e-manzil thā nā-rasī kā javāz
galī meñ aa ke maiñ us kā makān bhuul gayā
har ik badaltī huī rut meñ yaad aatā hai
vo shaḳhs jo mirā nām-o-nishān bhuul gayā
kuchh aisī baat kabūtar kī aañkh meñ dekhī
uqaab ḳhauf ke maare uḌaan bhuul gayā
maiñ sar-ba-kaf sar-e-maqtal kuchh is adā se gayā
ki merā dushman-e-jāñ ān-bān bhuul gayā
qabā.il aaj bhī shīr-o-shakar nazar aate
ḳhatīb-e-shahr magar vo zabān bhuul gayā
zamīñ kī god meñ itnā sukūn thā 'anjum'
ki jo gayā vo safar kī thakān bhuul gayā
Top Urdushayar.com