Anjum Khaleeq

jahan sinon mein dil shanon pe sar aabaad hote hain

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
jahāñ sīnoñ meñ dil shānoñ pe sar ābād hote haiñ
vahī do-chār to bastī meñ ghar ābād hote haiñ
bahut sābit-qadam nikleñ ga.e vaqtoñ kī tahzībeñ
ki ab un ke havāloñ se khañDar ābād hote haiñ
buzurgoñ ko tabarruk kī tarah rakkho makānoñ meñ
balā.eñ rad kiye jaane se ghar ābād hote haiñ
zabāñ-bandī ke mausam meñ galī-kūchoñ kī mat pūchho
parindoñ ke chahakne se shajar ābād hote haiñ
jo patthar kī siloñ ko tāj-mahaloñ meñ badal Dāleñ
yahāñ kachche gharoñ meñ vo hunar ābād hote haiñ
mire andoh meñ muzmar hai us kī sarḳhushī aise
Dubo kar kashtiyāñ jaise bhañvar ābād hote haiñ
mirī ta.amīr behtar shakl meñ hone ko hai 'anjum'
ki jañgal saaf hone se nagar ābād hote haiñ
Top Urdushayar.com