Anjum Khaleeq

kaho kya mehrban na-mehrban taqdir hoti hai

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
kaho kyā mehrbāñ nā-mehrbāñ taqdīr hotī hai
kahā maañ kī duāoñ meñ baḌī tāsīr hotī hai
kaho kyā baat kartī hai kabhī sahrā kī ḳhāmoshī
kahā us ḳhāmushī meñ bhī to ik taqrīr hotī hai
kahā maiñ ne ki ranj-e-be-makānī kab satātā hai
kahā jab maqbare yā qasr kī ta.amīr hotī hai
kahā maiñ ne hisār-e-zāt meñ ye nafs kī duniyā
javāb aayā ki sab kuchh haar kar tasḳhīr hotī hai
kahā ye ḳhvāhish-o-tarġhīb aur ye ḳhuun ke rishte
kahā zindāniyoñ ke paañv meñ zanjīr hotī hai
kahā vo jo savālī aañkh kī putlī pe likkhī thī
kahā sab se mo.assir to vahī tahrīr hotī hai
kahā ahl-e-ḳhirad 'anjum' tumheñ be-kār kahte haiñ
kahā sikke kī apne des meñ tauqīr hotī hai
Top Urdushayar.com