Anjum Khaleeq

mere junun ko hawas mein shumar kar lega

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
mire junūñ ko havas meñ shumār kar legā
vo mere tiir se mujh ko shikār kar legā
mujhe gumāñ bhī nahīñ thā ki Dūbtā huā dil
muhīt jism ko ik roz paar kar legā
maiñ us kī raah chalūñ bhī to fā.eda kyā hai
vo koī aur ravish iḳhtiyār kar legā
fasīl-e-shahr meñ rukne kī hī nahīñ ye ḳhabar
jo kaam ham se na hogā ġhubār kar legā
vo gul-badan kabhī niklā jo sair-e-sahrā ko
to apne saath havā-e-bahār kar legā
jahāñ pe baat faqat naqd-e-jāñ se bantī ho
vo ḳhush-kalām vahāñ bhī udhār kar legā
ham aise log bahut ḳhush-gumān hote haiñ
ye dil zarūr tirā e'tibār kar legā
khulegā is pe hī 'anjum'-ḳhalīq bāb-e-qubūl
jo apnā haqq-e-talab ustuvār kar legā
Top Urdushayar.com