Imdad Ali Bahr

jazb-e-ulfat ne dikhaya asar apna ulTa

Imdad Ali Bahr

1810-1878
jazb-e-ulfat ne dikhāyā asar apnā ulTā
aah jab hoñThoñ par aa.ī to kaleja ulTā
rāt-bhar baiThe rahe muntazarī meñ us kī
sub.h jab ho ga.ī hasrat se bichhaunā ulTā
haq-ba-jānib hai agar ham se vo mahvash phir jaa.e
chalan aflāk kā auñdhā hai zamānā ulTā
jā-e-hairat hai jo nafrat na ho ḳhud-bīnī se
nazar aatā hai is ā.īne meñ chehrā ulTā
zīnat-e-rañg-e-baqā chāhte haiñ naqsh-e-fanā
us muraqqe kā dikhā.ī diyā naqsha ulTā
malgajī chādar-e-mahtāb nazar aane lagī
us ne chehre se jo sote meñ dupaTTā ulTā
ab to yāroñ se bhī yaarī kī tavaqqo.a na rahī
hāl-pursī ke evaz karte haiñ shikvā ulTā
qufl darvāze meñ kyuuñ aaj nazar aatā hai
kaun jhāñkā tumheñ kis shaḳhs ne pardā ulTā
mar gayā maiñ jo mujhe pyaar se maarā us ne
sīdhī talvār huā us kā tamāñcha ulTā
mai-kada chhoḌ ke kyuuñ ḳhum meñ falātūñ baiThā
aisī hī aql ne yūnān kā taḳhta ulTā
maraz-e-ishq meñ ārām kisī taur nahīñ
kabhī sīdhā jo dam aayā to kaleja ulTā
phir ulaT kar na ḳhabar lī hue aise ġhāfil
ab to aao ki maiñ dam letā huuñ ulTā ulTā
na to vo phuul na kaliyāñ na vo sabza na bahār
rut kī phirtī hai chaman-zār kā taḳhta ulTā
ek jalva to bhalā aur bhī vaqt-e-ruḳhsat
bahr-e-gul bād-e-bahārī koī jhoñkā ulTā
'bahr' kyā kūcha-e-jānāñ se phire ghar kī taraf
kabhī dekhā nahīñ bahte hue dariyā ulTā
Top Urdushayar.com