tahayyur hai balā kā ye pareshānī nahīñ jaatī
ki tan dhakne pe bhī jismoñ kī uryānī nahīñ jaatī
yahāñ ahd-e-hukūmat ijz kā kis taur aa.egā
ki tāj-o-taḳht kī fitrat se sultānī nahīñ jaatī
bujhe sūraj pe bhī āñgan mirā raushan hī rahtā hai
dahakte hoñ agar jazbe to tābānī nahīñ jaatī
muqaddar kar le apnī sī ham apnī kar guzarte haiñ
muqaddar se ab aise haar bhī maanī nahīñ jaatī
agar aatā huuñ sāhil par to āñdhī gher letī hai
samundar meñ utartā huuñ to tuġhyānī nahīñ jaatī
ye kaise khurdure mausam guzār aayā huuñ maiñ 'anjum'
ki ḳhud mujh se hī merī shakl pahchānī nahīñ jaatī