Anjum Khaleeq

chahe tu shauq se mujhe wahshat-e-dil shikar kar

Anjum Khaleeq

Faisalabad, Punjab, Pakistan

1950
chāhe tū shauq se mujhe vahshat-e-dil shikār kar
apno se kaT chukā huuñ maiñ apnī anā ubhār kar
jin ko kahā na jā sakā jin ko sunā nahīñ gayā
vo bhī haiñ kuchh hikāyateñ un ko bhī tū shumār kar
ḳhud ko aziyyateñ na de mujh ko aziyyateñ na de
ḳhud pe bhī iḳhtiyār rakh mujh pe bhī e'tibār kar
us ke yaqīn-e-husn kā husn-e-yaqīñ to dekhiye
ā.īna dekhtā hai vo apnī nazar utaar kar
rāheñ rafīq-e-rāh ke shauq kā imtihān haiñ
jis meñ safar tavīl ho rasta vo iḳhtiyār kar
terī zamīñ nasīb ne tere hunar ko sauñp dī
ḳhvāh chaman banā use ḳhvāh tū regzār kar
'anjum' abhī haiñ raah meñ shab kī kaḌī masāfateñ
mahr falak par rah gayā din kā safar guzār kar
Top Urdushayar.com