sitamgaroñ se Darūñ chup rahūñ nibāh karūñ
ḳhudā vo vaqt na laa.e maiñ ye gunāh karūñ
mirī nazar meñ anā ke sharar salāmat haiñ
inheñ bujhā.ūñ to tāzīm kam-nigāh karūñ
mirī zabāñ ko salīqa nahīñ guzārish kā
maiñ apne haq se ziyāda na koī chaah karūñ
pahāḌ mere tahavvur kā isti.āra hai
maiñ pastiyoñ se bhalā kaise rasm-o-rāh karūñ
masāf-e-zīst meñ mujh ko bas āgahī de do
harām hai jo talab phir koī sipāh karūñ
kisī ko ḳhauf-e-salāsil kisī ko hirs-e-karam
maiñ apne haq meñ ḳhudāyā kise gavāh karūñ
sitam to ye hai ki fauj-e-sitam meñ bhī 'anjum'
bas apne log hī dekhūñ jidhar nigāh karūñ