Imdad Ali Bahr

jab dast-basta ki nahin uqda-kusha namaz

Imdad Ali Bahr

1810-1878
jab dast-basta kī nahīñ uqda-kushā namāz
kāTegī merī paañv kī zanjīr kyā namāz
bandoñ kā to ye haal hai letī nahīñ salām
kyuuñ kar kahūñ qubūl karegā ḳhudā namāz
bū-e-riyā har ek gul-e-boriyā meñ hai
duniyā kī ghar kā farsh hai zāhid kī jā-namāz
roza hamārī fāqa-kashī kā namūna hai
apnī farotanī kā hī ik partavā namāz
fariyād kar rahā huuñ do-vaqtī azaañ nahīñ
taklīf mujh ko detī haiñ sub.h-o-masā namāz
mīnā-e-mai imaam ho māmūm riñd hoñ
hasrat hai pāñch vaqt kī ho yuuñ adā namāz
saare nuqūsh sañgī-e-gul-hā-e-bāġh-e-ḳhuld
jis boriye pe maiñ ne paḌhī be-riyā namāz
mastī meñ laġhzish apnī rukū-o-sujūd hai
nikle jo mai-kade se to hogī qazā namāz
jaate haiñ girte paḌte hue rāh-e-shauq meñ
kyā jāneñ ham tarīq hai kyā aur kyā namāz
lā-taqrabussalāt isī amr par hai nahīñ
pī kar mai-e-ġhurūr na paḌh vā.izā namāz
allāh de jo niyyat-e-ḳhālis huzūr-e-qalb
phir arsh sajda-gāh hai kursī hai jā-namāz
har dam jihād-e-nafs meñ takbīr hai buland
sar par hai teġh-e-jabr magar hai bapā namāz
dāmān-e-tar kī lo ḳhabar ai zāhidān-e-ḳhushk
is jāma-e-najis se nahīñ hai ravā namāz
hai iztirāb faaqe meñ uTh baiTh bahr-e-qūt
zāhid kujā o roza kujā o kujā namāz
tīr-o-kamāñ haiñ us ke qiyām-o-rukūa 'bahr'
ik din uḌā.egī hadaf-e-mudda.ā namāz
Top Urdushayar.com