Imdad Ali Bahr

ab marna hai apne KHushi hai jine se be-zari hai

Imdad Ali Bahr

1810-1878
ab marnā hai apne ḳhushī hai jiine se be-zārī hai
ishq meñ aise halke hue haiñ jaan badan ko bhārī hai
shikve kī charchā hotī hai chupke hī rahnā behtar hai
dil ko jalānā dil-sozī hai ye ġham-e-duniyā ġham-ḳhvārī hai
kis kā va.ada kaun aatā hai chain se sotā hogā vo
raat bahut aa.ī hai ai dil ab nāhaq bedārī hai
daav thā apnā jab vo ham se chaupaḌ sīkhne aate the
ab kuchh chaal nahīñ ban aatī jiit ke baazī haarī hai
luTte dekhā ġhash meñ dekhā marte bhī dekhā us ne mujhe
itnā na pūchhā kaun hai ye is shaḳhs ko kyā bīmārī hai
hijr sitam hai kulfat-o-ġham hai kis se kahiye haal apnā
din ko paḌe rahnā muñh Dhāñke raat ko girya-o-zārī hai
uTTho kapḌe badlo chalo kyā baiThe ho 'bahr' udaas udaas
sair ke din haiñ phuul khile haiñ josh pe fasl-e-bahārī hai
Top Urdushayar.com