Imdad Ali Bahr

baghair yar gawara nahin kabab sharab

Imdad Ali Bahr

1810-1878
baġhair yaar gavārā nahīñ kabāb sharāb
gazak hai daaġh mujhe aur ḳhūn-e-nāb sharāb
agar hai shauq-e-tahārat sharāb pī zāhid
tire najāsat-e-qalbī ko hogī aab sharāb
dimāġh ahl-e-ḳharābāt ke mo.attar haiñ
kabāb nāfa-e-mushk-e-ḳhutan gulāb sharāb
piyūñ najāt samajh ke jo ishq-e-sāqī hai
darūd paḌh ke tapā.ūñ pa.e savāb sharāb
baġhair sukr huā hai ye ālam-e-sakrāt
hamāre muñh meñ chuvāo bajā.e aab sharāb
chaman pe jhuum rahā hai siyāh mastī meñ
ajab bahār hai barsā.e jo sahāb sharāb
shab-e-visāl hai anjum khilā.eñ naql mujhe
pilā.e apne piyāle meñ māhtāb sharāb
bahut mazammat-e-mai-ḳhvār likh rahā hai shaiḳh
ḳhudā kare ki bane jadval-e-kitāb sharāb
chale bahār ke ayyām sāqī-e-gul-rū
mirā shabāb hai mehmān lā shitāb sharāb
koī gazak gazak-e-husn se nahīñ a.alā
sharāboñ meñ hai mai-e-ishq intiḳhāb sharāb
hai nūr-e-nashshā ziyā-baḳhsh dīda-e-irfāñ
dur-e-yagāna-e-dil kī hai āb-o-tāb sharāb
ḳhudā ke ghar meñ vo barrā rahā hai ai rindo
jagāo shaiḳh ko chiḌko ba-rū-e-ḳhvāb sharāb
na dekhe buġhz se mānind-e-shapparak zāhid
hai apne nuur se ham-jām-e-āftāb sharāb
nashāt-o-aish jahāñ par na 'bahr' lahrānā
ki bāġh-e-sabz-e-gulistān hai sarāb sharāb
Top Urdushayar.com