Sikandar Ali Wajd

rang laya diwana-pan mera

Sikandar Ali Wajd

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1914-1983
rañg laayā divāna-pan merā
sī rahe haiñ vo pairahan merā
maiñ naved-e-bahār laayā thā
tazkira har chaman chaman merā
shabnam-e-fikr-o-gulsitān-e-suḳhan
jagmagātā hai phūlban merā
lāla-o-gul khile haiñ kāñToñ par
in meñ uljhā thā pairahan merā
ye bhī ab tak nahīñ huā ma.alūm
maiñ sajan kā huuñ yā sajan merā
jo bhī hai sab tirī ināyat hai
jaan merī na ye badan merā
kyā tujhe bhī ḳhayāl aatā hai
kabhī bhūle se jān-e-man merā
us ne dekhā thā muskurā ke kabhī
umr bhar dil rahā magan merā
ai sharāb-e-suḳhan ke matvāle
kuchh suḳhan hī nahīñ hai fan merā
'vajd' kis kā vatan kahāñ kā vatan
vo jahāñ haiñ vahīñ vatan merā
Top Urdushayar.com