Sikandar Ali Wajd

kaif jo ruh pe tari hai tujhe kya malum

Sikandar Ali Wajd

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1914-1983
kaif jo ruuh pe taarī hai tujhe kyā mālūm
umr āñkhoñ meñ guzārī hai tujhe kyā mālūm
nigah-e-avval-e-bebāk ne mere dil par
terī tasvīr utārī hai tujhe kyā mālūm
mehr yā qahr tire chāhne vaale ke liye
har adā jaan se pyārī hai tujhe kyā mālūm
vaqt kaTtā hī nahīñ sub.h-e-masarrat aa jā
raat bīmār pe bhārī hai tujhe kyā mālūm
ek muddat se yahāñ umr-e-ravāñ tere baġhair
vaqf-e-ālām-shumārī hai tujhe kyā mālūm
ḳhanda-zan sūrat-e-gul dāman-e-sad-chāk mirā
parcham-e-fasl-e-bahārī hai tujhe kyā mālūm
gul-e-nau-ḳhāsta kāñToñ ko haqārat se na dekh
kis kī taqdīr meñ ḳhvārī hai tujhe kyā mālūm
'vajd' nā-paidi-e-ehsās-e-masarrat kā sabab
ādat-e-girya-o-zārī hai tujhe kyā mālūm
Top Urdushayar.com